IMAM ALI A.S.
Patience Ensures Victory



Hazrat Imam Hussain By Nadeem Sarwar 2022

 


Hussain... Hussain ..(2)

Daae'n hasan, baae'n jari pusht panahi ko nabi..(2)

sar pe khuda wand e jali..

sar pe khuda wand e jali seena sipar Zehra Ali


Mere maula ko mayassar hai khazana kaisa

inka rutba hai imamo me shahana kaisa

kaise kaise hai naseebo me ujale inke

mere aaqa ko.. 

mere aaqa ko mila hai ye gharana kaisa


Marhaba Marhaba Mustafa ki baat mein

ba khuda, ba khuda saari kayenat mein

goonj raha hai bus ek naam.. 

hazrat imam hussain alaihis salam ..(4)

lakho durood aap pa laakho salam

hazrat imam hussain alaihis salam


Allah ne kya khoob sawara hai

sarkaar ke aangan mein utara hai

har qaum ki aankho'n ka sitara hai

hazrat imam hussain alaihis salam ..(2)


haan..

Zinda'n hai hussain uska hai kirdaar bhi zinda

kirdaar jo zinda hai to maiyaar bhi zinda

maiyaar jo zinda hai to afkaar bhi zinda

afkaar jo zinda to azadaar bhi zinda

Ibteda, Ibteda - Mustafa ke dosh par

Inteha, Inteha - naize par baland sar


Goonj raha hai bus ek naam

hazrat imam hussain alaihis salam


Qadam qadam nagar nagar Ya Hussain

Dilam dilam nazar nazar Ya Hussain

Sadaqato ki rah guzar Ya Hussain

Kaho kaho ba chashm e tar Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain..(2)


Tareekh mein is jaisa na insaan milega

aisa na koi ashiq e Rahman milega

na aisa koi shah e shahidaan milega

na aisa koi sabr ka sultan milega

La ilaah, La ilaah - La ilaah ka pasbaa'n

Dee'n panaah, Dee'n panaah - Mustafa ka tarjumaa'n


Goonj raha hai bus ek naam

hazrat imam hussain alaihis salam


Allah ne kya khoob sawara hai

sarkaar ke aangan mein utara hai

har qaum ki aankho'n ka sitara hai

hazrat imam hussain alaihis salam ..(2)


Haan..

Har dil mein ghum e sayyad e abraar milega

har daur mein mazloom ka ghum khwar milega

har qaum mein shabbir ka zawwar milega

har mulk mein maula ka azadar milega

Har jagah, har jagah - momino ke darmiya'n

hai sadaa, hai sadaa - dhadkano ke darmiya'n


Goonj raha hai bus ek naam

hazrat imam hussain alaihis salam


Qadam qadam nagar nagar Ya Hussain

Dilam dilam nazar nazar Ya Hussain

Sadaqato ki rah guzar Ya Hussain

Kaho kaho ba chashm e tar Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain..(2)


Hatho'n mein alam thaame wo aata hai azadar

han majliso matam mein hi rehta hai azadar

maa baap husaini ho to banta hai azadar

maula ye tumhara hai, tumhara hai azadar

Silsila, silsila - ye aza ka silsila

Rabta, rabta - karbala se rabta


Goonj raha hai bus ek naam

hazrat imam hussain alaihis salam


Allah ne kya khoob sawara hai

sarkaar ke aangan mein utara hai

har qaum ki aankho'n ka sitara hai

hazrat imam hussain alaihis salam ..(2)


Shabbir ka dil dekhe zara, dekhe zamana

Wallah kaha tha jo wohi karke dikhaya

khushnudiye khaliq mein bhare ghar ko lutaya

naize pe bhi aaya to usi shaan se aaya

Badshah, badshah - hai dilo ka badshah

Cha gaya, cha gaya - do jaha'n pe cha gaya


Goonj raha hai bus ek naam

hazrat imam hussain alaihis salam


Qadam qadam nagar nagar Ya Hussain

Dilam dilam nazar nazar Ya Hussain

Sadaqato ki rah guzar Ya Hussain

Kaho kaho ba chashm e tar Ya Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain..(2)


Haan..

Kis shaan se maqtal mein qadam rakhta hai shabbir

kab jaan ki parwaah kiya karta hai shabbir

darta hai na jhukta hai na ghabrata hai shabbir

lakho bhi mukhalif ho to sach kehta hai shabbir

Hausla, hausla - shah e dee'n ka hausla

Sun sada, sun sada - do jaha'n ki hai sada


Goonj raha hai bus ek naam

hazrat imam hussain alaihis salam


Allah ne kya khoob sawara hai

sarkaar ke aangan mein utara hai

har qaum ki aankho'n ka sitara hai

hazrat imam hussain alaihis salam ..(2)


Haa aao kare hum shahe abraar ka matam

islam ke mohsin ka madadgar ka matam

asghar, ali akbar ka aur ansar ka matam

zainab ka sakina ka alamdar ka matam

Be khata, be khata - hai ghareeb e sayyeda

hai bapa, hai bapa - tera ghum jagah jagah


Goonj raha hai bus ek naam

hazrat imam hussain alaihis salam

Daae'n hasan, baae'n jari pusht panahi ko nabi

sar pe khuda wand e jali seena sipar Zehra Ali


hazrat imam .. hussain hussain ..(2)

Haye shah e mashraqayn

aye dile zahra ke chayn

han mere maula hussain

hazrat imam .. hussain hussain ..(2)


aali maqam .. hussain hussain..(2)

tum pe salam .. hussain hussain..(2)

hazrat imam .. hussain hussain ..(2)


haye shah e karbala aapka ghar lut gaya

waada wafa kar diya 

hazrat imam .. hussain hussain ..(2)

shah e zaman .. hussain hussain ..(2)

zakhmi badan .. hussain hussain ..(2)

tishna dahan .. hussain hussain ..(2)

hazrat imam .. hussain hussain ..(8) 

Labels: ,